Mera Qatil

Mere qatil k qadmo k nishan ko pehan kar
meri khanjar ka pata maloom karna ha muje

Kya mera qatil sharf rakhta ha khoon rezi ka?
Ya mehaz roh-e-doshiiza hai jo ulte qadam firta ha

Mashriq chahey magrib, nazrein toh jamii muj pe thi
Uss ka khanjar-e-poshida na sahi ankh-e-siyah mashqooq na thi?

Ya vo ik chaandh tha jo chala beech sehra-e-khuab-e-shikasta
Kya magar chaandh ko nazar aata bastiy-e-tareekh ma tamashayi ullu

– Adil Hussain

Leave a Comment